begana-e-shuur-e-wafa ho gaya wo shaKHs
begāna-e-shu.ūr-e-vafā ho gayā vo shaḳhs
ye kyā huā ki mujh se ḳhafā ho gayā vo shaḳhs
jis se milī thī merī tamanna ko raushnī
ai tīrgī-e-baḳht ḳhafā ho gayā vo shaḳhs
utrā thā bū-e-gul kī tarah merī ruuh meñ
aisā gayā ki mauj-e-havā ho gayā vo shaḳhs
ham ne jise sahīfa-e-ulfat samajh liyā
be-mehrī-e-jahāñ kī adā ho gayā vo shaḳhs
allah re us kī yaad ke gajre hare raheñ
ujḌe hue diloñ kī davā ho gayā vo shaḳhs
sunte haiñ ek 'faiz' ġharīb-ud-dayār thā
haq maġhfirat kare ki qazā ho gayā vo shaḳhs
begana-e-shuur-e-wafa ho gaya wo shaKHs
ye kya hua ki mujh se KHafa ho gaya wo shaKHs
jis se mili thi meri tamanna ko raushni
ai tirgi-e-baKHt KHafa ho gaya wo shaKHs
utra tha bu-e-gul ki tarah meri ruh mein
aisa gaya ki mauj-e-hawa ho gaya wo shaKHs
hum ne jise sahifa-e-ulfat samajh liya
be-mehri-e-jahan ki ada ho gaya wo shaKHs
allah re us ki yaad ke gajre hare rahen
ujDe hue dilon ki dawa ho gaya wo shaKHs
sunte hain ek 'faiz' gharib-ud-dayar tha
haq maghfirat kare ki qaza ho gaya wo shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.