begangi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya
begāngī kā abr-e-girāñ-e-bār khul gayā
shab maiñ ne us ko chheḌā to vo yaar khul gayā
galiyoñ meñ shaam hote hī nikle hasīn log
har rahguzar pe tabla-e-attār khul gayā
ham ne chhupāyā laakh magar chhup nahīñ sakā
anjām-e-kār rāz-e-dil-e-zār khul gayā
thā ishrat-e-shabāna kī sarmastiyoñ meñ band
bād-e-sahar se dīda-e-gulbār khul gayā
aayā vo baam par to kuchh aisā lagā 'munīr'
jaise falak pe rañg kā bāzār khul gayā
begangi ka abr-e-giran-e-bar khul gaya
shab main ne us ko chheDa to wo yar khul gaya
galiyon mein sham hote hi nikle hasin log
har rahguzar pe tabla-e-attar khul gaya
hum ne chhupaya lakh magar chhup nahin saka
anjam-e-kar raaz-e-dil-e-zar khul gaya
tha ishrat-e-shabana ki sarmastiyon mein band
baad-e-sahar se dida-e-gulbar khul gaya
aaya wo baam par to kuchh aisa laga 'munir'
jaise falak pe rang ka bazar khul gaya
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.