Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

behoshiyon ne aur KHabardar kar diya

Josh Malihabadi

behoshiyon ne aur KHabardar kar diya

Josh Malihabadi

behoshiyoñ ne aur ḳhabardār kar diyā

soī jo aql ruuh ne bedār kar diyā

allāh re husn-e-dost ā.īna-dāriyāñ

ahl-e-nazar ko naqsh-ba-dīvār kar diyā

rab ye bhed kyā hai ki rāhat fikr ne

insāñ ko aur ġham meñ giraftār kar diyā

dil kuchh panap chalā thā taġhāful rasm se

phir tere iltifāt ne bīmār kar diyā

kal un ke aage sharah-e-tamannā aarzū

itnī baḌhī ki nutq ko bekār kar diyā

mujh ko vo baḳhshte the do aalam nemateñ

mere ġhurūr-e-ishq ne inkār kar diyā

ye dekh kar ki un ko hai rañgīniyoñ shauq

āñkhoñ ko ham ne dīda-e-ḳhūñ-bār kar diyā

behoshiyon ne aur KHabardar kar diya

soi jo aql ruh ne bedar kar diya

allah re husn-e-dost ki aaina-dariyan

ahl-e-nazar ko naqsh-ba-diwar kar diya

ya rab ye bhed kya hai ki rahat ki fikr ne

insan ko aur gham mein giraftar kar diya

dil kuchh panap chala tha taghaful ki rasm se

phir tere iltifat ne bimar kar diya

kal un ke aage sharah-e-tamanna ki aarzu

itni baDhi ki nutq ko bekar kar diya

mujh ko wo baKHshte the do aalam ki nematen

mere ghurur-e-ishq ne inkar kar diya

ye dekh kar ki un ko hai ranginiyon ka shauq

aankhon ko hum ne dida-e-KHun-bar kar diya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now