behr-e-charagh KHud ko jalane wali main
behr-e-charāġh ḳhud ko jalāne vaalī maiñ
dhueñ meñ apne karb chhupāne vaalī maiñ
hariyālī darkār uḌāneñ bhī pyārī
kidhar chalī maiñ kidhar thī jaane vaalī maiñ
dhanak-rutoñ ke jaal bichhāne vaalā tū
ulajh ke apnā-āp gañvāne vaalī maiñ
merī chup kā jashn manāne vaalā tū
talvāroñ se kaaT churāne vaalī maiñ
pūñjī sun kar simaT na paane vaalā tū
sikka sikka tujhe churāne vaalī maiñ
behr-e-charagh KHud ko jalane wali main
dhuen mein apne karb chhupane wali main
hariyali darkar uDanen bhi pyari
kidhar chali main kidhar thi jaane wali main
dhanak-ruton ke jal bichhane wala tu
ulajh ke apna-ap ganwane wali main
meri chup ka jashn manane wala tu
talwaron se kaT churane wali main
punji sun kar simaT na pane wala tu
sikka sikka tujhe churane wali main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.