dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat
dukhe hue haiñ hameñ aur ab dukhāo mat
jo ho ga.e ho fasāna to yaad aao mat
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ parchhā.iyāñ sī nāchtī haiñ
ab is tarah to mirī ruuh meñ samāo mat
zamīñ ke log to kyā do diloñ kī chāhat meñ
ḳhudā bhī ho to use darmiyān laao mat
tumhārā sar nahīñ tiflān-e-rah-guzar ke liye
dayār-e-sañg meñ ghar se nikal ke jaao mat
sivā.e apne kisī ke bhī ho nahīñ sakte
ham aur log haiñ logo hameñ satāo mat
hamāre ahd meñ ye rasm-e-āshiqī Thahrī
faqīr ban ke raho aur sadā lagāo mat
vahī likho jo lahū kī zabāñ se miltā hai
suḳhan ko parda-e-alfāz meñ chhupāo mat
supurd kar hī diyā ātish-e-hunar ke to phir
tamām ḳhaak hī ho jaao kuchh bachāo mat
dukhe hue hain hamein aur ab dukhao mat
jo ho gae ho fasana to yaad aao mat
KHayal-o-KHwab mein parchhaiyan si nachti hain
ab is tarah to meri ruh mein samao mat
zamin ke log to kya do dilon ki chahat mein
KHuda bhi ho to use darmiyan lao mat
tumhaara sar nahin tiflan-e-rah-guzar ke liye
dayar-e-sang mein ghar se nikal ke jao mat
siwae apne kisi ke bhi ho nahin sakte
hum aur log hain logo hamein satao mat
hamare ahd mein ye rasm-e-ashiqi Thahri
faqir ban ke raho aur sada lagao mat
wahi likho jo lahu ki zaban se milta hai
suKHan ko parda-e-alfaz mein chhupao mat
supurd kar hi diya aatish-e-hunar ke to phir
tamam KHak hi ho jao kuchh bachao mat
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.