ret bhari hai in aankhon mein aansu se tum dho lena
ret bharī hai in āñkhoñ meñ aañsū se tum dho lenā
koī sūkhā peḌ mile to us se lipaT ke ro lenā
us ke ba.ad bahut tanhā ho jaise jañgal kā rasta
jo bhī tum se pyaar se bole saath usī ke ho lenā
kuchh to ret kī pyaas bujhāo janam janam kī pyāsī hai
sāhil par chalne se pahle apne paañv bhigo lenā
maiñ ne dariyā se sīkhī hai paanī kī ye parda-dārī
uupar uupar hañste rahnā gahrā.ī meñ ro lenā
rote kyuuñ ho dil vāloñ kī qismat aisī hotī hai
saarī raat yūñhī jāgoge din nikle to so lenā
ret bhari hai in aankhon mein aansu se tum dho lena
koi sukha peD mile to us se lipaT ke ro lena
us ke baad bahut tanha ho jaise jangal ka rasta
jo bhi tum se pyar se bole sath usi ke ho lena
kuchh to ret ki pyas bujhao janam janam ki pyasi hai
sahil par chalne se pahle apne panw bhigo lena
main ne dariya se sikhi hai pani ki ye parda-dari
upar upar hanste rahna gahrai mein ro lena
rote kyun ho dil walon ki qismat aisi hoti hai
sari raat yunhi jagoge din nikle to so lena
- Book : Aasman (Pg. 89)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.