bekasi hai aur dil nashad hai
bekasī hai aur dil nāshād hai
ab inhīñ donoñ se ghar ābād hai
ab unhīñ kī fikr meñ sayyād hai
jin ke naġhmoñ se chaman ābād hai
jo mujhe barbād kar ke shaad hai
us sitamgar ko mubārakbād hai
tum ne jo chāhā vahī ho kar rahā
ye hamārī muḳhtasar rūdād hai
ham ne tum se rakh ke ummīd-e-karam
vo sabaq sīkhā ki ab tak yaad hai
bebasī ban kar na Tapke aañkh se
dil meñ jo ik hasrat-e-fariyād hai
bekasi hai aur dil nashad hai
ab inhin donon se ghar aabaad hai
ab unhin ki fikr mein sayyaad hai
jin ke naghmon se chaman aabaad hai
jo mujhe barbaad kar ke shad hai
us sitamgar ko mubarakbaad hai
tum ne jo chaha wahi ho kar raha
ye hamari muKHtasar rudad hai
hum ne tum se rakh ke ummid-e-karam
wo sabaq sikha ki ab tak yaad hai
bebasi ban kar na Tapke aankh se
dil mein jo ek hasrat-e-fariyaad hai
- Book : Jab Fasl-e-baharn aai thi (Pg. 149)
- Author : padm Shri Dr. Kaleem Ahmed Aajiz
- Publication : Sunrise Plastic Works, Patna (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.