bekasi ka aalam hai aajizi ka mausam hai
bekasī kā aalam hai ājizī kā mausam hai
tum badal ga.e ham par jāñ-kanī kā mausam hai
haath uThā.e shāḳhoñ ne sar-nigūñ haiñ gul ġhunche
surma.ī ye nuurī sub.h bandagī kā mausam hai
bādaloñ kī chādar sī oḌh lī daraḳhtoñ ne
kuchh ghaḌī ko aa jaao shā.erī kā mausam hai
gungunāte taa.ir bhī nauha-ḳhvāñ se lagte haiñ
sogvār sā hī kuchh aaj jī kā mausam hai
bekasi ka aalam hai aajizi ka mausam hai
tum badal gae hum par jaan-kani ka mausam hai
hath uThae shaKHon ne sar-nigun hain gul ghunche
surmai ye nuri subh bandagi ka mausam hai
baadalon ki chadar si oDh li daraKHton ne
kuchh ghaDi ko aa jao shaeri ka mausam hai
gungunate tair bhi nauha-KHwan se lagte hain
sogwar sa hi kuchh aaj ji ka mausam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.