Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara

Amir Ameer

agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara

Amir Ameer

MORE BYAmir Ameer

    agar ye kah do baġhair mere nahīñ guzāra to maiñ tumhārā

    us pe mabnī koī ta'assur koī ishārā to maiñ tumhārā

    ġhurūr-parvar anā mālik kuchh is tarah ke haiñ naam mere

    magar qasam se jo tum ne ik naam bhī pukārā to maiñ tumhārā

    tum apnī shartoñ pe khel khelo maiñ jaise chāhe lagā.ūñ baazī

    agar maiñ jiitā to tum ho mere agar maiñ haarā to maiñ tumhārā

    tumhārā āshiq tumhārā muḳhlis tumhārā sāthī tumhārā apnā

    rahā na in meñ se koī duniyā meñ jab tumhārā to maiñ tumhārā

    tumhārā hone ke faisle ko maiñ apnī qismat pe chhoḌtā huuñ

    agar muqaddar koī TuuTā kabhī sitārā to maiñ tumhārā

    ye kis pe ta.avīz kar rahe ho ye kis ko paane ke haiñ vazīfe

    tamām chhoḌo bas ek kar lo jo istiḳhāra to maiñ tumhārā

    agar ye kah do baghair mere nahin guzara to main tumhaara

    ya us pe mabni koi ta'assur koi ishaara to main tumhaara

    ghurur-parwar ana ka malik kuchh is tarah ke hain nam mere

    magar qasam se jo tum ne ek nam bhi pukara to main tumhaara

    tum apni sharton pe khel khelo main jaise chahe lagaun bazi

    agar main jita to tum ho mere agar main haara to main tumhaara

    tumhaara aashiq tumhaara muKHlis tumhaara sathi tumhaara apna

    raha na in mein se koi duniya mein jab tumhaara to main tumhaara

    tumhaara hone ke faisle ko main apni qismat pe chhoDta hun

    agar muqaddar ka koi TuTa kabhi sitara to main tumhaara

    ye kis pe tawiz kar rahe ho ye kis ko pane ke hain wazife

    tamam chhoDo bas ek kar lo jo istiKHara to main tumhaara

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Amir Ameer

    Amir Ameer

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now