ai dil-e-be-qarar chup ho ja
ai dil-e-be-qarār chup ho jā
jā chukī hai bahār chup ho jā
ab na ā.eñge rūThne vaale
dīda-e-ashk-bār chup ho jā
jā chukā kāravān-e-lāl-o-gul
uḌ rahā hai ġhubār chup ho jā
chhūT jaatī hai phuul se ḳhushbū
ruuTh jaate haiñ yaar chup ho jā
ham faqīroñ kā is zamāne meñ
kaun hai ġham-gusār chup ho jā
hādsoñ kī na aañkh khul jaa.e
hasrat-e-sogvār chup ho jā
giit kī zarb se bhī ai 'sāġhar'
TuuT jaate haiñ taar chup ho jā
ai dil-e-be-qarar chup ho ja
ja chuki hai bahaar chup ho ja
ab na aaenge ruThne wale
dida-e-ashk-bar chup ho ja
ja chuka karawan-e-lal-o-gul
uD raha hai ghubar chup ho ja
chhuT jati hai phul se KHushbu
ruTh jate hain yar chup ho ja
hum faqiron ka is zamane mein
kaun hai gham-gusar chup ho ja
hadson ki na aankh khul jae
hasrat-e-sogwar chup ho ja
git ki zarb se bhi ai 'saghar'
TuT jate hain tar chup ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.