beTa jo honhaar tha zan ke asar mein hai
beTā jo honhār thā zan ke asar meñ hai
kis kī nazar kā nuur thā kis kī nazar meñ hai
nazreñ to thak ke aa ga.iiñ apne madār par
aur ik ḳhayāl-e-yār ki ab tak safar meñ hai
parvāz kā ḳhayāl use kar degā muntashir
barsoñ hue jo gard jamī bāl-o-par meñ hai
chaltā nahīñ hai mujh ko pata kab maiñ bik gayā
ḳhūbī kamāl kī ye mire rāhbar meñ hai
sad.hā fareb jis kī ibādat meñ zam hue
us shaḳhs kā shumār to ahl-e-hunar meñ hai
beTa jo honhaar tha zan ke asar mein hai
kis ki nazar ka nur tha kis ki nazar mein hai
nazren to thak ke aa gain apne madar par
aur ek KHayal-e-yar ki ab tak safar mein hai
parwaz ka KHayal use kar dega muntashir
barson hue jo gard jami baal-o-par mein hai
chalta nahin hai mujh ko pata kab main bik gaya
KHubi kamal ki ye mere rahbar mein hai
sadha fareb jis ki ibaadat mein zam hue
us shaKHs ka shumar to ahl-e-hunar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.