betab se betab teri tab le aae
betāb se betāb tirī taab le aa.e
jiinā paḌā aisoñ ko bhī jo jī nahīñ paa.e
bāteñ vahī bāteñ vo na bolī huī bāteñ
is tezī se lagtī haiñ ki allāh bachā.e
dikhtī rahī phailī huī gardūñ kī siyāhī
kitne hī sitāre mirī āñkhoñ ne ginā.e
tā'rīf bhī aisī hameñ karnī nahīñ aa.ī
alfāz bhī aise muta'addid hī banā.e
yak-laḳht uñDele ga.e ham hosh meñ har baar
jaate hue ḳhvāboñ ko kabhī dekh na paa.e
jānoge to jānam tumheñ jaane nahīñ deñge
behtar hai in auhām ko jaane diyā jaa.e
āvāz se paivasta ik andāz hai 'āmir'
andāz kā andāza magar kaun lagā.e
betab se betab teri tab le aae
jina paDa aison ko bhi jo ji nahin pae
baaten wahi baaten wo na boli hui baaten
is tezi se lagti hain ki allah bachae
dikhti rahi phaili hui gardun ki siyahi
kitne hi sitare meri aankhon ne ginae
ta'rif bhi aisi hamein karni nahin aai
alfaz bhi aise muta'addid hi banae
yak-laKHt unDele gae hum hosh mein har bar
jate hue KHwabon ko kabhi dekh na pae
jaanoge to jaanam tumhein jaane nahin denge
behtar hai in auham ko jaane diya jae
aawaz se paiwasta ek andaz hai 'amir'
andaz ka andaza magar kaun lagae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.