bewafa aise to hargiz na the pahle hum log
bevafā aise to hargiz na the pahle ham log
ek hī shahr meñ rah kar nahīñ milte ham log
jis tarah jiinā thā aise hī jo jiite ham log
jis tarah marte haiñ aise nahīñ marte ham log
ḳhidmat-e-ḳhalq meñ jis shaḳhs kī guzrī hai hayāt
aise insāñ kī ayādat ko na pahuñche ham log
amn kā qāfila kartā rahā minnat phir bhī
chand lamhoñ ko bhī ḳhāmosh na baiThe ham log
itnā ehsān jatāte haiñ ki mar jaatā hai
kaam aa jaa.eñ jo duniyā meñ kisī ke ham log
toḌ detī hai zarā-bhar meñ charāġhoñ kā ġhurūr
ai havā dekh chuke haiñ tire jalve ham log
bewafa aise to hargiz na the pahle hum log
ek hi shahr mein rah kar nahin milte hum log
jis tarah jina tha aise hi jo jite hum log
jis tarah marte hain aise nahin marte hum log
KHidmat-e-KHalq mein jis shaKHs ki guzri hai hayat
aise insan ki ayaadat ko na pahunche hum log
amn ka qafila karta raha minnat phir bhi
chand lamhon ko bhi KHamosh na baiThe hum log
itna ehsan jatate hain ki mar jata hai
kaam aa jaen jo duniya mein kisi ke hum log
toD deti hai zara-bhar mein charaghon ka ghurur
ai hawa dekh chuke hain tere jalwe hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.