bewafa hai ba-wafa hai faisla hota nahin
bevafā hai bā-vafā hai faisla hotā nahīñ
us se mil kar bhī haqīqat kā patā hotā nahīñ
jab chamaktī shāhrāheñ sāmne maujūd hoñ
mujh se phir pagDanDiyoñ par iktifā hotā nahīñ
dard ke rishtoñ kī apnī ik alag hai dāstāñ
fāsla hotā hai phir bhī fāsla hotā nahīñ
pesha-var logoñ se kyā leñ zindagī par tabsira
niiñd aur ḳhvāboñ se un kā vāsta hotā nahīñ
gahmā-gahmī zindagī kī uf ye raftār-e-jahāñ
biite lamhoñ ko dobāra sochnā hotā nahīñ
bewafa hai ba-wafa hai faisla hota nahin
us se mil kar bhi haqiqat ka pata hota nahin
jab chamakti shahrahen samne maujud hon
mujh se phir pagDanDiyon par iktifa hota nahin
dard ke rishton ki apni ek alag hai dastan
fasla hota hai phir bhi fasla hota nahin
pesha-war logon se kya len zindagi par tabsira
nind aur KHwabon se un ka wasta hota nahin
gahma-gahmi zindagi ki uf ye raftar-e-jahan
bite lamhon ko dobara sochna hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.