bewafa hai wo kabhi pyar nahin kar sakta
bevafā hai vo kabhī pyaar nahīñ kar saktā
haañ magar pyaar se inkār nahīñ kar saktā
apnī himmat ko jo patvār nahīñ kar saktā
vo samundar ko kabhī paar nahīñ kar saktā
jo kisī aur ke jalvoñ kā tamannā.ī ho
vo kabhī bhī tirā dīdār nahīñ kar saktā
hoñT kuchh kahne ko betāb haiñ kab se lekin
us kī aadat hai vo iz.hār nahīñ kar saktā
us kī chāhat pe bharosa hai mujhe mere sivā
vo kisī aur ko haqdār nahīñ kar saktā
us ko ma.alūm hai vo ḳhud bhī to rusvā hogā
mujh ko rusvā sar-e-bāzār nahīñ kar saktā
vaqt paḌ jaa.e to vo jaan bhī de saktā hai
fan kā saudā koī inkār nahīñ kar saktā
bewafa hai wo kabhi pyar nahin kar sakta
han magar pyar se inkar nahin kar sakta
apni himmat ko jo patwar nahin kar sakta
wo samundar ko kabhi par nahin kar sakta
jo kisi aur ke jalwon ka tamannai ho
wo kabhi bhi tera didar nahin kar sakta
honT kuchh kahne ko betab hain kab se lekin
us ki aadat hai wo izhaar nahin kar sakta
us ki chahat pe bharosa hai mujhe mere siwa
wo kisi aur ko haqdar nahin kar sakta
us ko malum hai wo KHud bhi to ruswa hoga
mujh ko ruswa sar-e-bazar nahin kar sakta
waqt paD jae to wo jaan bhi de sakta hai
fan ka sauda koi inkar nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.