bewafa ho na ba-wafa ho tum
bevafā ho na bā-vafā ho tum
ham samajhte haiñ bas-ki kyā ho tum
tum na dariyā ho aur na paanī ho
sirf paanī kā bulbula ho tum
jaise miTTī se ban ke aa.e ho
isī miTTī kī phir ġhizā ho tum
ik zamāna agar guzar jaa.e
ik kahānī ho mājrā ho tum
jaan lo ab bhī is haqīqat ko
aur samajh lo ki kitne kyā ho tum
maiñ to bas ik haqīr banda huuñ
ye na samjho ki bas ḳhudā ho tum
kuchh ḳhatā ham se bhī huī 'jāzib'
kaise kah deñ ki bevafā ho tum
bewafa ho na ba-wafa ho tum
hum samajhte hain bas-ki kya ho tum
tum na dariya ho aur na pani ho
sirf pani ka bulbula ho tum
jaise miTTi se ban ke aae ho
isi miTTi ki phir ghiza ho tum
ek zamana agar guzar jae
ek kahani ho majra ho tum
jaan lo ab bhi is haqiqat ko
aur samajh lo ki kitne kya ho tum
main to bas ek haqir banda hun
ye na samjho ki bas KHuda ho tum
kuchh KHata hum se bhi hui 'jazib'
kaise kah den ki bewafa ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.