bewafa se bhi pyar hota hai
bevafā se bhī pyaar hotā hai
yaar kuchh bhī ho yaar hotā hai
saath us ke jo hai raqīb to kyā
phuul ke saath ḳhaar hotā hai
jab vo hote haiñ sehn-e-gulshan meñ
mausam-e-nau-bahār hotā hai
kaash hote ham us ke phūloñ meñ
us gale kā jo haar hotā hai
dost se kyoñ bhalā na khāte fareb
dost pe e.atibār hotā hai
jab vo aate nahīñ shab-e-va.ada
maut kā intizār hotā hai
vasl meñ bhī ḳhayāl-e-hijr se dil
be-sukūñ be-qarār hotā hai
ham baḌe ḳhush-nasīb haiñ varna
aap ko kis se pyaar hotā hai
tiir vo tīr-e-nīm-kash to nahīñ
dil ke jo aar paar hotā hai
husn-e-aḳhlāq ai urūs-e-hayāt
sab se achchhā siñghār hotā hai
bewafa se bhi pyar hota hai
yar kuchh bhi ho yar hota hai
sath us ke jo hai raqib to kya
phul ke sath KHar hota hai
jab wo hote hain sehn-e-gulshan mein
mausam-e-nau-bahaar hota hai
kash hote hum us ke phulon mein
us gale ka jo haar hota hai
dost se kyon bhala na khate fareb
dost pe eatibar hota hai
jab wo aate nahin shab-e-wada
maut ka intizar hota hai
wasl mein bhi KHayal-e-hijr se dil
be-sukun be-qarar hota hai
hum baDe KHush-nasib hain warna
aap ko kis se pyar hota hai
tir wo tir-e-nim-kash to nahin
dil ke jo aar par hota hai
husn-e-aKHlaq ai urus-e-hayat
sab se achchha singhaar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.