bewafa tumko bhulane mein takalluf kaisa
bevafā tum ko bhulāne meñ takalluf kaisā
aa.ina sach kā dikhāne meñ takalluf kaisā
tīrgī ghar kī miTāne meñ takalluf kaisā
diip chhoTā sā jalāne meñ takalluf kaisā
pyaar kā giit sunāne meñ takalluf kaisā
haañ pasand apnī batāne meñ takalluf kaisā
vo udāsī ke samundar meñ akelā hai bahut
hausla dene dilāne meñ takalluf kaisā
apne gulshan ko maiñ shādāb rakhā kartī huuñ
ghar kā kachrā bhī uThāne meñ takalluf kaisā
mujh ko aksar vo yahī baat kahā kartā hai
ham se hī milne milāne meñ takalluf kaisā
jo 'shagufta' ko zamāna ye satātā hai bahut
aañkh se ashk bahāne meñ takalluf kaisā
bewafa tum ko bhulane mein takalluf kaisa
aaina sach ka dikhane mein takalluf kaisa
tirgi ghar ki miTane mein takalluf kaisa
dip chhoTa sa jalane mein takalluf kaisa
pyar ka git sunane mein takalluf kaisa
han pasand apni batane mein takalluf kaisa
wo udasi ke samundar mein akela hai bahut
hausla dene dilane mein takalluf kaisa
apne gulshan ko main shadab rakha karti hun
ghar ka kachra bhi uThane mein takalluf kaisa
mujh ko aksar wo yahi baat kaha karta hai
hum se hi milne milane mein takalluf kaisa
jo 'shagufta' ko zamana ye satata hai bahut
aankh se ashk bahane mein takalluf kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.