to kya ye aaKHiri KHwahish hai achchha bhul jaun
to kyā ye āḳhirī ḳhvāhish hai achchhā bhuul jā.ūñ
jahāñ bhī jo bhī hai tere 'alāva bhuul jā.ūñ
to kyā ye dūsrā hī 'ishq aslī 'ishq samjhūñ
to pahlā tajrabe kī zail meñ thā bhuul jā.ūñ
to kyā itnā hī āsāñ hai kisī ko bhuul jaanā
ki bas bātoñ hī bātoñ meñ bhulātā bhuul jā.ūñ
kabhī kahtā huuñ us ko yaad rakhnā Thiik hogā
magar phir sochtā huuñ fā.eda kyā bhuul jā.ūñ
to kyā ye dastaras ik roz hāsil hogī mujh ko
ki har pal dhyān meñ rakkhūñ use yā bhuul jā.ūñ
ye koī qatl thoḌī hai ki baat aa.ī ga.ī ho
maiñ aur apnā nazar-andāz honā bhuul jā.ūñ
haiñ itnī juz.iyāt is sānahe kī pūchhiye mat
maiñ kyā kyā yaad rakkhūñ aur kyā kyā bhuul jā.ūñ
koī kab tak kisī kī bevafā.ī yaad rakkhe
bahut mumkin hai maiñ bhī rafta-rafta bhuul jā.ūñ
to kyā ye kah ke ḳhud ko mutma.in kar loge javvād
ki vo hai bhī isī laa.iq lihāzā bhuul jā.ūñ
to kya ye aaKHiri KHwahish hai achchha bhul jaun
jahan bhi jo bhi hai tere 'alawa bhul jaun
to kya ye dusra hi 'ishq asli 'ishq samjhun
to pahla tajrabe ki zail mein tha bhul jaun
to kya itna hi aasan hai kisi ko bhul jaana
ki bas baaton hi baaton mein bhulata bhul jaun
kabhi kahta hun us ko yaad rakhna Thik hoga
magar phir sochta hun faeda kya bhul jaun
to kya ye dastaras ek roz hasil hogi mujh ko
ki har pal dhyan mein rakkhun use ya bhul jaun
ye koi qatl thoDi hai ki baat aai gai ho
main aur apna nazar-andaz hona bhul jaun
hain itni juziyat is sanahe ki puchhiye mat
main kya kya yaad rakkhun aur kya kya bhul jaun
koi kab tak kisi ki bewafai yaad rakkhe
bahut mumkin hai main bhi rafta-rafta bhul jaun
to kya ye kah ke KHud ko mutmain kar loge jawwad
ki wo hai bhi isi laiq lihaza bhul jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.