bezar hun main dil se dil bhi hai mujhse nalan
bezār huuñ maiñ dil se dil bhī hai mujh se nālāñ
ham donoñ meñ se koī tanhā.ī chāhtā hai
mere liye vafā.eñ lāzim batā rahā hai
apne liye ri.āyat harjā.ī chāhtā hai
bād-e-sumūm terā maarā huā hai ye dil
phāgun ke mausamoñ kī purvā.ī chāhtā hai
mad.hosh kar de saaqī tū chashm-e-nāznīñ se
mai-kash nazar kī bāda-paimā.ī chāhtā hai
bezar hun main dil se dil bhi hai mujh se nalan
hum donon mein se koi tanhai chahta hai
mere liye wafaen lazim bata raha hai
apne liye riayat harjai chahta hai
baad-e-sumum tera mara hua hai ye dil
phagun ke mausamon ki purwai chahta hai
madhosh kar de saqi tu chashm-e-naznin se
mai-kash nazar ki baada-paimai chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.