bezar is qadar hain teri be-ruKHi se hum
bezar is qadar hain teri be-ruKHi se hum
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
bezār is qadar haiñ tirī be-ruḳhī se ham
muddat huī ki milte nahīñ haiñ kisī se ham
pūchhā kisī ne haal to bas muskurā diye
sach baat ko bhī Taal ga.e sādgī se ham
apne bhī bad-gumāñ haiñ zamāna bhī hai ḳhafā
baaz aa.e tire ishq tirī dilbarī se ham
ham ko hamāre ghar kā añdherā aziiz hai
rahte haiñ duur duur na.ī raushnī se ham
kū-e-butāñ se ham bhī guzarte haiñ gāh-gāh
rakhte haiñ rasm-o-rāh magar duur hī se ham
ham shā.irī ko bojh samajhte nahīñ 'majīd'
lete haiñ zindagī kā mazā shā.irī se ham
bezar is qadar hain teri be-ruKHi se hum
muddat hui ki milte nahin hain kisi se hum
puchha kisi ne haal to bas muskura diye
sach baat ko bhi Tal gae sadgi se hum
apne bhi bad-guman hain zamana bhi hai KHafa
baz aae tere ishq teri dilbari se hum
hum ko hamare ghar ka andhera aziz hai
rahte hain dur dur nai raushni se hum
ku-e-butan se hum bhi guzarte hain gah-gah
rakhte hain rasm-o-rah magar dur hi se hum
hum shairi ko bojh samajhte nahin 'majid'
lete hain zindagi ka maza shairi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.