bhai kamal kar diya diwar khinch kar
bhaa.ī kamāl kar diyā dīvār khīñch kar
pahle ye kaam hotā thā talvār khīñch kar
itnā jhukā diyā hai tire hijr ne mujhe
bachcha bhī sar se le gayā dastār khīñch kar
kirdār bhī dikhātā agar shakl kī tarah
de mārte zamīñ pe mujhe yaar khīñch kar
ye kā.enāt mere taḳhayyul se chhoTī hai
dekhā hai is ko maiñ ne ka.ī baar khīñch kar
naukar nahīñ samajhtā zabāñ ko maiñ kaan kā
paḌhtā nahīñ huuñ is liye ash.ār khīñch kar
bhai kamal kar diya diwar khinch kar
pahle ye kaam hota tha talwar khinch kar
itna jhuka diya hai tere hijr ne mujhe
bachcha bhi sar se le gaya dastar khinch kar
kirdar bhi dikhata agar shakl ki tarah
de marte zamin pe mujhe yar khinch kar
ye kaenat mere taKHayyul se chhoTi hai
dekha hai is ko main ne kai bar khinch kar
naukar nahin samajhta zaban ko main kan ka
paDhta nahin hun is liye ashaar khinch kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.