bhaDakti aag hai shoalon mein hath Dale kaun
bhaḌaktī aag hai sho.aloñ meñ haath Daale kaun
bachā hī kyā hai mirī ḳhaak ko nikāle kaun
tū dost hai to zabāñ se koī qarār na kar
na jaane tujh ko kisī vaqt aazmā le kaun
lahū meñ tairtā phirtā hai merā ḳhasta badan
maiñ Duub jā.ūñ to zaḳhmoñ ko dekhe-bhāle kaun
guhar lage the ḳhunuk uñgliyoñ ke zaḳhm mujhe
ab is athāh samundar ko phir khañgāle kaun
bhaDakti aag hai shoalon mein hath Dale kaun
bacha hi kya hai meri KHak ko nikale kaun
tu dost hai to zaban se koi qarar na kar
na jaane tujh ko kisi waqt aazma le kaun
lahu mein tairta phirta hai mera KHasta badan
main Dub jaun to zaKHmon ko dekhe-bhaale kaun
guhar lage the KHunuk ungliyon ke zaKHm mujhe
ab is athah samundar ko phir khangale kaun
- Book : Zard Zarkhez (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.