bhala ghamon se kahan haar jaane wale the
bhalā ġhamoñ se kahāñ haar jaane vaale the
ham āñsuoñ kī tarah muskurāne vaale the
hamīñ ne kar diyā elān-e-gumrahī varna
hamāre pīchhe bahut log aane vaale the
unheñ to ḳhaak meñ milnā hī thā ki mere the
ye ashk kaun se ūñche gharāne vaale the
unheñ qarīb na hone diyā kabhī maiñ ne
jo dostī meñ hadeñ bhuul jaane vaale the
maiñ jin ko jaan ke pahchān bhī nahīñ saktā
kuchh aise log mirā ghar jalāne vaale the
hamārā alamiya ye thā ki ham-safar bhī hameñ
vahī mile jo bahut yaad aane vaale the
'vasīm' kaisī ta.alluq kī raah thī jis meñ
vahī mile jo bahut dil dukhāne vaale the
bhala ghamon se kahan haar jaane wale the
hum aansuon ki tarah muskurane wale the
hamin ne kar diya elan-e-gumrahi warna
hamare pichhe bahut log aane wale the
unhen to KHak mein milna hi tha ki mere the
ye ashk kaun se unche gharane wale the
unhen qarib na hone diya kabhi main ne
jo dosti mein haden bhul jaane wale the
main jin ko jaan ke pahchan bhi nahin sakta
kuchh aise log mera ghar jalane wale the
hamara alamiya ye tha ki ham-safar bhi hamein
wahi mile jo bahut yaad aane wale the
'wasim' kaisi talluq ki rah thi jis mein
wahi mile jo bahut dil dukhane wale the
- Book : Mera Kiya (Pg. 28)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.