bhala hi duaon se hota hai sab ka
bhalā hī duāoñ se hotā hai sab ka
duā khaTkhaTātī hai darvāza rab kā
balāoñ se rahtā hai mahfūz har dam
sukūñ de jo māñ-bāp ko roz-o-shab kā
muḳhālif hue log urdu ke phir bhī
jahāñ bhar meñ rutba hai urdu adab ka
kareñ qatl-o-ġhārat-garī zulm jo bhī
unheñ paas kab hai hasab kā nasab kā
karegā jau mazlūm par zulm 'anvar'
nishāna banegā vo rab ke ġhazab kā
bhala hi duaon se hota hai sab ka
dua khaTkhaTati hai darwaza rab ka
balaon se rahta hai mahfuz har dam
sukun de jo man-bap ko roz-o-shab ka
muKHalif hue log urdu ke phir bhi
jahan bhar mein rutba hai urdu adab ka
karen qatl-o-ghaarat-gari zulm jo bhi
unhen pas kab hai hasab ka nasab ka
karega jau mazlum par zulm 'anwar'
nishana banega wo rab ke ghazab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.