bhala ho jis kaam mein kisi ka to us mein waqfa na kijiyega
bhala ho jis kaam mein kisi ka to us mein waqfa na kijiyega
Habeeb Moosavi
MORE BYHabeeb Moosavi
bhalā ho jis kaam meñ kisī kā to us meñ vaqfa na kījiyegā
ḳhayāl-e-zahmat na kījiyegā malāl-e-īzā na kījiyegā
vo mujh se farmā rahe haiñ hañs kar hamesha milne kī aarzū par
malāl hogā muhāl shai kī kabhī tamannā na kījiyegā
habāb hai zindagī kā naqsha kahāñ kā din māh-o-sāl kaisā
havā hai ye dam kā kyā bharosa umīd-e-fardā na kījiyegā
kiyā to hai ishq hazrat-e-dil liyā hai sar par ye bār-e-mushkil
huā agar mudda'ā na hāsil to raaz ifshā na kījiyegā
jo aap aa.eñ pa.e 'ayādat yaqīñ hai ho jaa.e mujh ko sehat
magar barā.e-ḳhudā ye zahmat kabhī gavāra na kījiyegā
jo ahl-e-duniyā ke the muḳhālif hue vo duniyā ke aur na diiñ ke
samajhiye ab ḳhātma hai diiñ kā jo fikr-e-duniyā na kījiyegā
ye qā.eda rasm-o-rāh kā hai ḳhayāl donoñ taraf ho yaksāñ
kisī ko parvā na hogī jis dam kisī kī parvā na kījiyegā
ta’alluq ahl-e-jahāñ se ho gar to rakhiye bīm-o-rajā barābar
sivā ḳhudā ke kisī ke upar kabhī bharosa na kījiyegā
'azīz hai jauhar-e-amānat kisī se ulfat ho yā adāvat
agar hai kuchh ġhairat-e-sharāfat to raaz ifshā na kījiyegā
bayān kī ehtiyāj hai kab rahā hai sirf ek harf-e-matlab
'habīb' kā dard-e-dil sunā sab ab is kā chāra na kījiyegā
bhala ho jis kaam mein kisi ka to us mein waqfa na kijiyega
KHayal-e-zahmat na kijiyega malal-e-iza na kijiyega
wo mujh se farma rahe hain hans kar hamesha milne ki aarzu par
malal hoga muhaal shai ki kabhi tamanna na kijiyega
habab hai zindagi ka naqsha kahan ka din mah-o-sal kaisa
hawa hai ye dam ka kya bharosa umid-e-farda na kijiyega
kiya to hai ishq hazrat-e-dil liya hai sar par ye bar-e-mushkil
hua agar mudda'a na hasil to raaz ifsha na kijiyega
jo aap aaen pae 'ayaadat yaqin hai ho jae mujh ko sehat
magar barae-KHuda ye zahmat kabhi gawara na kijiyega
jo ahl-e-duniya ke the muKHalif hue wo duniya ke aur na din ke
samajhiye ab KHatma hai din ka jo fikr-e-duniya na kijiyega
ye qaeda rasm-o-rah ka hai KHayal donon taraf ho yaksan
kisi ko parwa na hogi jis dam kisi ki parwa na kijiyega
ta’alluq ahl-e-jahan se ho gar to rakhiye bim-o-raja barabar
siwa KHuda ke kisi ke upar kabhi bharosa na kijiyega
'aziz hai jauhar-e-amanat kisi se ulfat ho ya adawat
agar hai kuchh ghairat-e-sharafat to raaz ifsha na kijiyega
bayan ki ehtiyaj hai kab raha hai sirf ek harf-e-matlab
'habib' ka dard-e-dil suna sab ab is ka chaara na kijiyega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.