bhala kab main nishane par nahin aaya
bhalā kab maiñ nishāne par nahīñ aayā
mire hāthoñ meñ par patthar nahīñ aayā
maiñ tauba dostī se kar to luuñ lekin
hamesha piiTh pe ḳhanjar nahīñ aayā
kahīñ Thahre nahīñ phir bhī shikāyat hai
safar meñ ḳhushnumā manzar nahīñ aayā
nibhā.ī hai mohabbat umr-bhar 'ātish'
mohabbat meñ kabhī antar nahīñ aayā
bhala kab main nishane par nahin aaya
mere hathon mein par patthar nahin aaya
main tauba dosti se kar to lun lekin
hamesha piTh pe KHanjar nahin aaya
kahin Thahre nahin phir bhi shikayat hai
safar mein KHushnuma manzar nahin aaya
nibhai hai mohabbat umr-bhar 'atish'
mohabbat mein kabhi antar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.