bhala kashkol ke aage ye kasa kaun karta hai
bhalā kashkol ke aage ye kaasa kaun kartā hai
ho dil apnā to phir duuje kī aashā kaun kartā hai
yahāñ ham haiñ bhare baiThe vahāñ un ko bhī ġhussa hai
chalo phir dekhte haiñ ab tamāshā kaun kartā hai
tumhārā pyaar hai na jo suno rattī barābar hai
ye ḳhud hī dekh lo tole ko māshā kaun kartā hai
sunā hai donoñ hī ik dūsre se pyaar karte haiñ
chalo phir dekhte haiñ be-tahāshā kaun kartā hai
ye ham hī the jo sab kuchh bhuul kar phir dil lagā baiThe
bhalā socho tamāshe par tamāshā kaun kartā hai
kabhī āñkheñ kabhī gesū kabhī abrū banāte ho
'razī' tum jānte ho but tarāshā kaun kartā hai
bhala kashkol ke aage ye kasa kaun karta hai
ho dil apna to phir duje ki aasha kaun karta hai
yahan hum hain bhare baiThe wahan un ko bhi ghussa hai
chalo phir dekhte hain ab tamasha kaun karta hai
tumhaara pyar hai na jo suno ratti barabar hai
ye KHud hi dekh lo tole ko masha kaun karta hai
suna hai donon hi ek dusre se pyar karte hain
chalo phir dekhte hain be-tahasha kaun karta hai
ye hum hi the jo sab kuchh bhul kar phir dil laga baiThe
bhala socho tamashe par tamasha kaun karta hai
kabhi aankhen kabhi gesu kabhi abru banate ho
'razi' tum jaante ho but tarasha kaun karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.