bhala kin aankhon se ab ye rang-e-bahaar dekhun
bhalā kin āñkhoñ se ab ye rang-e-bahār dekhūñ
nazar uThāte hī baaġh ko sho.ala-zār dekhūñ
kabhī vo aalam ki us taraf aañkh hī na uTThe
kabhī ye hālat ki us ko dīvāna-vār dekhūñ
ye saarī be-manzarī savād-e-sukūt se hai
sadā vo chamke to dhund ke ār-pār dekhūñ
ye kaisā ḳhuuñ hai ki bah rahā hai na jam rahā hai
ye rang dekhūñ ki dil jigar kā fishār dekhūñ
tire sivā bhī hazār manzar haiñ dekhne ko
tujhe na dekhūñ to kyoñ tirā intizār dekhūñ
bhala kin aankhon se ab ye rang-e-bahaar dekhun
nazar uThate hi bagh ko shoala-zar dekhun
kabhi wo aalam ki us taraf aankh hi na uTThe
kabhi ye haalat ki us ko diwana-war dekhun
ye sari be-manzari sawad-e-sukut se hai
sada wo chamke to dhund ke aar-par dekhun
ye kaisa KHun hai ki bah raha hai na jam raha hai
ye rang dekhun ki dil jigar ka fishaar dekhun
tere siwa bhi hazar manzar hain dekhne ko
tujhe na dekhun to kyon tera intizar dekhun
- Book : غبار حیرانی (Pg. 38)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.