bhale hi hast se nabud hota
bhale hī hast se nābūd hotā
ziyāñ merā kisī kā suud hotā
maiñ jis kī aarzū meñ mar rahā huuñ
tasavvur meñ to vo maujūd hotā
jamī hai maslahat kī barf varna
hamārā hausla bārūd hotā
havas kyūñkar tumheñ bechain kartī
sukūn-e-dil agar maqsūd hotā
jo ham karte na azm-e-haq-navā.ī
amīr-e-shahr kyoñ namrūd hotā
hasad kā tel hai tere diye meñ
ujālā to na hotā duud hotā
tilism ābād hai shahr-e-taḳhayyul
jise maiñ sochtā mash.hūd hotā
'ḳhalish' maslak hai āfāqī hamārā
kisī sarhad meñ kyoñ mahdūd hotā
bhale hi hast se nabud hota
ziyan mera kisi ka sud hota
main jis ki aarzu mein mar raha hun
tasawwur mein to wo maujud hota
jami hai maslahat ki barf warna
hamara hausla barud hota
hawas kyunkar tumhein bechain karti
sukun-e-dil agar maqsud hota
jo hum karte na azm-e-haq-nawai
amir-e-shahr kyon namrud hota
hasad ka tel hai tere diye mein
ujala to na hota dud hota
tilism aabaad hai shahr-e-taKHayyul
jise main sochta mashhud hota
'KHalish' maslak hai aafaqi hamara
kisi sarhad mein kyon mahdud hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.