bhale sukut mein TuTe ya ku-ba-ku TuTe
bhale sukūt meñ TuuTe yā kū-ba-kū TuuTe
maiñ chāhtā huuñ ki andar kī hāo-hū TuuTe
tumhārī ḳhaak se tā'mīr kyā nahīñ hotā
mire vajūd ko paikar mile jo tū TuuTe
maiñ chāhtā huuñ tujhe dekh kar 'ibādat ho
maiñ chāhtā huuñ tujhe dekh kar vuzū TuuTe
ye raat mushk-fashāñ aur nūr-afshāñ ho
kabhī agar jo mirā ḳhvāb-e-rang-o-bū TuuTe
kabhī to ḳhvāb-e-pareshāñ bhī mahv-e-ġhaflat ho
kabhī to fikr o taraddud kī justujū TuuTe
dikhā.ī degī hameñ rū-barū haqīqat phir
agar ye vahm kī mūrat jo chār-sū TuuTe
bhale sukut mein TuTe ya ku-ba-ku TuTe
main chahta hun ki andar ki hao-hu TuTe
tumhaari KHak se ta'mir kya nahin hota
mere wajud ko paikar mile jo tu TuTe
main chahta hun tujhe dekh kar 'ibaadat ho
main chahta hun tujhe dekh kar wuzu TuTe
ye raat mushk-fashan aur nur-afshan ho
kabhi agar jo mera KHwab-e-rang-o-bu TuTe
kabhi to KHwab-e-pareshan bhi mahw-e-ghaflat ho
kabhi to fikr o taraddud ki justuju TuTe
dikhai degi hamein ru-baru haqiqat phir
agar ye wahm ki murat jo chaar-su TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.