bhanwar ki god mein jaise kinara sath rahta hai
bhañvar kī god meñ jaise kināra saath rahtā hai
kuchh aise hī tumhārā aur hamārā saath rahtā hai
mohabbat ho ki nafrat ho usī se mashvara hogā
mirī har kaifiyat meñ istiḳhāra saath hotā hai
safar meñ ain mumkin hai maiñ ḳhud ko chhoḌ duuñ lekin
duā.eñ karne vāloñ kā sahārā saath rahtā hai
mire maulā ne mujh ko chāhatoñ kī saltanat de dī
magar pahlī mohabbat kā ḳhasāra saath rahtā hai
agar 'sayyad' mire lab par mohabbat hī mohabbat hai
to phir bhī kis liye nafrat kā dhārā saath rahtā hai
bhanwar ki god mein jaise kinara sath rahta hai
kuchh aise hi tumhaara aur hamara sath rahta hai
mohabbat ho ki nafrat ho usi se mashwara hoga
meri har kaifiyat mein istiKHara sath hota hai
safar mein ain mumkin hai main KHud ko chhoD dun lekin
duaen karne walon ka sahaara sath rahta hai
mere maula ne mujh ko chahaton ki saltanat de di
magar pahli mohabbat ka KHasara sath rahta hai
agar 'sayyad' mere lab par mohabbat hi mohabbat hai
to phir bhi kis liye nafrat ka dhaara sath rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.