Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhar do jholi meri ya mohammad lauT kar main na jaunga Khaali

Purnam Allahabadi

bhar do jholi meri ya mohammad lauT kar main na jaunga Khaali

Purnam Allahabadi

MORE BYPurnam Allahabadi

    bhar do jholī mirī mohammad lauT kar maiñ na jā.ūñgā ḳhālī

    kuchh navāsoñ sadqa atā ho dar pe aayā huuñ ban kar savālī

    haq se paa.ī vo shān-e-karīmī marhabā donoñ aalam ke vaalī

    us qismat chamkā sitāra jis pe nazar-e-karam tum ne Daalī

    zindagī baḳhsh bandagī ko aabrū dīn-e-haq bachā

    vo mohammad pyārā navāsā jis ne sajde meñ gardan kaTā

    hashr meñ un ko dekheñge jis dam ummatī ye kaheñge ḳhushī se

    aa rahe haiñ vo dekho mohammad jin ke kāñdhe pe kamlī hai kaalī

    āshiq-e-mustafā azaañ meñ allah allāh kitnā asar thā

    arsh vaale bhī sunte the jis ko kyā azaañ thī azān-e-bilālī

    kaash 'purnam' dayār-e-nabī meñ jiite ho bulāvā kisī din

    hāl-e-ġham mustafā ko sunā.ūñ thaam kar un ke rauze jaalī

    bhar do jholi meri ya mohammad lauT kar main na jaunga KHali

    kuchh nawason ka sadqa ata ho dar pe aaya hun ban kar sawali

    haq se pai wo shan-e-karimi marhaba donon aalam ke wali

    us ki qismat ka chamka sitara jis pe nazar-e-karam tum ne Dali

    zindagi baKHsh di bandagi ko aabru din-e-haq ki bacha li

    wo mohammad ka pyara nawasa jis ne sajde mein gardan kaTa li

    hashr mein un ko dekhenge jis dam ummati ye kahenge KHushi se

    aa rahe hain wo dekho mohammad jin ke kandhe pe kamli hai kali

    aashiq-e-mustafa ki azan mein allah allah kitna asar tha

    arsh wale bhi sunte the jis ko kya azan thi azan-e-bilali

    kash 'purnam' dayar-e-nabi mein jite ji ho bulawa kisi din

    haal-e-gham mustafa ko sunaun tham kar un ke rauze ki jali

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now