bhara hua hun main pure wujud se apne
bharā huā huuñ maiñ puure vujūd se apne
isī liye to ḳhalāoñ meñ jhāñktā huuñ maiñ
ye zindagī mirī chāragarī meñ hai masrūf
aur us ke chehre pe ik zaḳhm sā khulā huuñ maiñ
ye kis kī aag mire tan-badan meñ raqsāñ hai
ye kis charāġh kī lau se bañdhā huā huuñ maiñ
bhara hua hun main pure wujud se apne
isi liye to KHalaon mein jhankta hun main
ye zindagi meri chaaragari mein hai masruf
aur us ke chehre pe ek zaKHm sa khula hun main
ye kis ki aag mere tan-badan mein raqsan hai
ye kis charagh ki lau se bandha hua hun main
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 50)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 52)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.