bhara hua teri yaadon ka jam kitna tha
bharā huā tirī yādoñ kā jaam kitnā thā
sahar ke vaqt taqāzā-e-shām kitnā thā
ruḳh-e-zavāl pe rañg-e-davām kitnā thā
ki ghaT ke bhī mirā māh-e-tamām kitnā thā
thā tere naaz ko kitnā mirī anā kā ḳhayāl
mirā ġhurūr bhī terā ġhulām kitnā thā
jo pau phaTī to har ik dāstāñ tamām huī
ajab ki un ke liye ehtimām kitnā thā
unhīñ ko yaad kiyā jab to kuchh na yaad aayā
vo log jin kā zamāne meñ naam kitnā thā
abhī shajar se judā.ī ke din na aa.e the
pakā huā thā vo phal phir bhī ḳhaam kitnā thā
vahāñ to koī na thā ek apne ġham ke sivā
mire makāñ pe magar izhdihām kitnā thā
bhara hua teri yaadon ka jam kitna tha
sahar ke waqt taqaza-e-sham kitna tha
ruKH-e-zawal pe rang-e-dawam kitna tha
ki ghaT ke bhi mera mah-e-tamam kitna tha
tha tere naz ko kitna meri ana ka KHayal
mera ghurur bhi tera ghulam kitna tha
jo pau phaTi to har ek dastan tamam hui
ajab ki un ke liye ehtimam kitna tha
unhin ko yaad kiya jab to kuchh na yaad aaya
wo log jin ka zamane mein nam kitna tha
abhi shajar se judai ke din na aae the
paka hua tha wo phal phir bhi KHam kitna tha
wahan to koi na tha ek apne gham ke siwa
mere makan pe magar izhdiham kitna tha
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.