bharam duniya ka pahle se ziyaada khul raha hai
bharam duniyā kā pahle se ziyāda khul rahā hai
ye āñkheñ khul rahī haiñ yā tamāsha khul rahā hai
ye dil mash.hūr thā lab-bastagī aur ḳhastagī meñ
ḳhudā rakkhe tirī mahfil meñ kitnā khul rahā hai
Thahar ai shorish-e-dīdār battī jal rahī hai
tham ai paañv kī betābi darīcha khul rahā hai
kahīñ aisā na ho bah jaa.e sab miTTī badan kī
kinārā kar mirī āñkhoñ kā dariyā khul rahā hai
bharam duniya ka pahle se ziyaada khul raha hai
ye aankhen khul rahi hain ya tamasha khul raha hai
ye dil mashhur tha lab-bastagi aur KHastagi mein
KHuda rakkhe teri mahfil mein kitna khul raha hai
Thahar ai shorish-e-didar batti jal rahi hai
tham ai panw ki betabi daricha khul raha hai
kahin aisa na ho bah jae sab miTTi badan ki
kinara kar meri aankhon ka dariya khul raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.