bhare moti hain goya tujh dahan mein
bhare motī haiñ goyā tujh dahan meñ
ki dur-rezī tū kartā hai suḳhan meñ
bahār-ārā vahī hai har chaman meñ
usī kī bū hai nasrīn-o-saman meñ
na phir īdhar udhar nāhaq bhaTaktā
ki hai vo jalva-gar tere hī man meñ
jahāñ vo hai nahīñ vaañ kufr o islām
abas jhagḌā hai shaiḳh o barhaman meñ
huī jaatī hai paanī sharm se sham.a
magar vo maah aayā anjuman meñ
chhuḌāyā thā nipaT mushkil se phir aah
dil aTkā us kī zulf-e-pur-shikan meñ
junūñ ne dast-kārī aisī bhī kī
na thā goyā garebāñ pairahan meñ
marā jaatā hai jis ġhairat meñ dariyā
girā kis kā hai dil chāh-e-zaqan meñ
magar parvāna jal kar ho gayā ḳhaak
ki ro-ro sham.a jaltī hai lagan meñ
jo sunte the dam-e-īsā kā e.ajāz
so dekhā ham ne vo tere suḳhan meñ
na dekhā us parī-jalva ko 'bedār'
rahā mashġhūl tū yaañ mā-o-man meñ
bhare moti hain goya tujh dahan mein
ki dur-rezi tu karta hai suKHan mein
bahaar-ara wahi hai har chaman mein
usi ki bu hai nasrin-o-saman mein
na phir idhar udhar nahaq bhaTakta
ki hai wo jalwa-gar tere hi man mein
jahan wo hai nahin wan kufr o islam
abas jhagDa hai shaiKH o barhaman mein
hui jati hai pani sharm se shama
magar wo mah aaya anjuman mein
chhuDaya tha nipaT mushkil se phir aah
dil aTka us ki zulf-e-pur-shikan mein
junun ne dast-kari aisi bhi ki
na tha goya gareban pairahan mein
mara jata hai jis ghairat mein dariya
gira kis ka hai dil chah-e-zaqan mein
magar parwana jal kar ho gaya KHak
ki ro-ro shama jalti hai lagan mein
jo sunte the dam-e-isa ka eajaz
so dekha hum ne wo tere suKHan mein
na dekha us pari-jalwa ko 'bedar'
raha mashghul tu yan ma-o-man mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.