bharosa kis ne toḌā hai hamārā
ki ġhā.eb har sitāra hai hamārā
pasand aa.e na aa.e tum ko lekin
alag duniyā se rishta hai hamārā
maiñ yuuñ apnā samajhtā huuñ diye ko
muqaddar ek jaisā hai hamārā
tujhe jī jaan se ham chāhte haiñ
magar tū kaun hotā hai hamārā
agar us ko batā.eñ kyā batā.eñ
kisī ne haal pūchhā hai hamārā
tirī chāragarī ke mo'tarif haiñ
magar ye zaḳhm gahrā hai hamārā
gunāhoñ meñ agar Duube hue haiñ
ḳhudā se bhī to rishta hai hamārā
hameñ raste meñ manzil mil ga.ī hai
kisī ne haath pakḌā hai hamārā
bharosa kis ne toDa hai hamara
ki ghaeb har sitara hai hamara
pasand aae na aae tum ko lekin
alag duniya se rishta hai hamara
main yun apna samajhta hun diye ko
muqaddar ek jaisa hai hamara
tujhe ji jaan se hum chahte hain
magar tu kaun hota hai hamara
agar us ko bataen kya bataen
kisi ne haal puchha hai hamara
teri chaaragari ke mo'tarif hain
magar ye zaKHm gahra hai hamara
gunahon mein agar Dube hue hain
KHuda se bhi to rishta hai hamara
hamein raste mein manzil mil gai hai
kisi ne hath pakDa hai hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.