bhaTak rahe hain bhaTakte rahenge farzane
bhaTak rahe haiñ bhaTakte raheñge farzāne
qarīb aa ga.e manzil ke tere dīvāne
bahut qarīb the jalve unheñ na pahchāne
kahāñ gayā thā shu.ūr-e-nazar ḳhudā jaane
zabāñ pe harf-e-tamannā na aa.e kyā parvā
simaT ke aa ga.e nazroñ meñ dil ke vīrāne
huzūr-e-husn jo aa.e haiñ bahr-e-arz murād
unheñ sunāo mirī ḳhāmushī ke afsāne
guzar ga.ī mirī rūdād-e-ġham meñ raat tamām
phir us ke ba.ad na sham.eñ jalīñ na parvāne
talāsh-e-kūcha-e-jānāñ are ma.āz-allāh
ḳhud apnī gard meñ kho.e hue haiñ dīvāne
'nasīr' un kī samajh meñ bhī kuchh nahīñ aayā
jo aa rahe haiñ mujhe rāz-e-ishq samjhāne
bhaTak rahe hain bhaTakte rahenge farzane
qarib aa gae manzil ke tere diwane
bahut qarib the jalwe unhen na pahchane
kahan gaya tha shuur-e-nazar KHuda jaane
zaban pe harf-e-tamanna na aae kya parwa
simaT ke aa gae nazron mein dil ke virane
huzur-e-husn jo aae hain bahr-e-arz murad
unhen sunao meri KHamushi ke afsane
guzar gai meri rudad-e-gham mein raat tamam
phir us ke baad na shamen jalin na parwane
talash-e-kucha-e-jaanan are maaz-allah
KHud apni gard mein khoe hue hain diwane
'nasir' un ki samajh mein bhi kuchh nahin aaya
jo aa rahe hain mujhe raaz-e-ishq samjhane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.