bhauwen chaDhi hain aur hai tewar jhuka hua
bhauveñ chaḌhī haiñ aur hai tevar jhukā huā
kuchh aaj boltā hai vo ham se rukā huā
jo chāhtā hai dil ko mire dil-dahī kare
saudā ye hai qadīm se yūñhī chukā huā
osoñ ga.ī hai pyaas kahīñ dīda-e-namīñ
bujhtā hai āñsuoñ se kahāñ dil phuñkā huā
ayyūb sābir aur vo kan.āñ ke piir se
mere se zor-o-shor kā sabr-o-bukā huā
un chitvanoñ churā.e dabe paañv 'azfarī'
dekho kidhar chalā hai chhapā aur lukā huā
bhauwen chaDhi hain aur hai tewar jhuka hua
kuchh aaj bolta hai wo hum se ruka hua
jo chahta hai dil ko mere dil-dahi kare
sauda ye hai qadim se yunhi chuka hua
oson gai hai pyas kahin dida-e-namin
bujhta hai aansuon se kahan dil phunka hua
ayyub sabir aur wo kanan ke pir se
mere se zor-o-shor ka sabr-o-buka hua
un chitwanon churae dabe panw 'azfari'
dekho kidhar chala hai chhapa aur luka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.