bhed duniya ke kholta hun main
bhed duniyā ke kholtā huuñ maiñ
sab suneñ ab ki boltā huuñ maiñ
āsmāñ ek jast-e-tāza-damī
dhuup bhar par TaToltā huuñ maiñ
harf-e-masraf hai lamha-e-guzrāñ
sho.ala-e-kun TaToltā huuñ maiñ
vus.at-e-vajd hai mirī pahchān
rañg har shai meñ gholtā huuñ maiñ
sad shafaq samt lamha-e-sayyāl
biich meñ ḳhud ko taultā huuñ maiñ
gauhar-e-āb-dār ho ke bhī 'tūr'
ḳhud ko miTTī meñ roltā huuñ maiñ
bhed duniya ke kholta hun main
sab sunen ab ki bolta hun main
aasman ek jast-e-taza-dami
dhup bhar par TaTolta hun main
harf-e-masraf hai lamha-e-guzran
shoala-e-kun TaTolta hun main
wusat-e-wajd hai meri pahchan
rang har shai mein gholta hun main
sad shafaq samt lamha-e-sayyal
bich mein KHud ko taulta hun main
gauhar-e-ab-dar ho ke bhi 'tur'
KHud ko miTTi mein rolta hun main
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 439)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978, Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978, Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.