bhejta hun aapko apni pasandida ghazal
bhejtā huuñ aap ko apnī pasandīda ġhazal
taaza taaza nā-shunīda aur nādīda ġhazal
dāstān-e-husn bhī hai ye sarāpā husn bhī
sang-e-marmar se misāl-e-but tarāshīda ġhazal
'mīr' 'ġhālib' 'zauq'-o-'momin' par bhī thī jaañ se nisār
thī bahādur-shāh kī har chand girvīda ġhazal
shohra-e-āfāq hai is kā jamāl-e-fikr-o-fan
saarī asnāf-e-suḳhan meñ hai jahāñ-dīda ġhazal
pāra-pāra ho na jaa.e māh-pāra dekhiye
hai havasn-ākoñ ke hāthoñ aaj ranjīda ġhazal
sher kī aamad nahīñ hotī hai kyā 'nāshād' ab
shā.irān-e-asr to kahte haiñ pechīda ġhazal
bhejta hun aap ko apni pasandida ghazal
taza taza na-shunida aur nadida ghazal
dastan-e-husn bhi hai ye sarapa husn bhi
sang-e-marmar se misal-e-but tarashida ghazal
'mir' 'ghaalib' 'zauq'-o-'momin' par bhi thi jaan se nisar
thi bahadur-shah ki har chand girwida ghazal
shohra-e-afaq hai is ka jamal-e-fikr-o-fan
sari asnaf-e-suKHan mein hai jahan-dida ghazal
para-para ho na jae mah-para dekhiye
hai hawasn-akon ke hathon aaj ranjida ghazal
sher ki aamad nahin hoti hai kya 'nashad' ab
shairan-e-asr to kahte hain pechida ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.