bhiD chaaron taraf magar tanha
bhiiḌ chāroñ taraf magar tanhā
log rahte haiñ umr bhar tanhā
kārvāñ kārvāñ har ik manzar
aadmī aadmī magar tanhā
saikḌoñ qāfile guzarte haiñ
aur rahtī hai rahguzar tanhā
ab muhāfiz bhī luuT lete haiñ
chhoḌ kar jā.iye na ghar tanhā
roz miltā huuñ saikḌoñ se magar
roz jaatā huuñ apne ghar tanhā
dostoñ kī talāsh meñ 'arshad'
lauT kar aa ga.ī nazar tanhā
bhiD chaaron taraf magar tanha
log rahte hain umr bhar tanha
karwan karwan har ek manzar
aadmi aadmi magar tanha
saikDon qafile guzarte hain
aur rahti hai rahguzar tanha
ab muhafiz bhi luT lete hain
chhoD kar jaiye na ghar tanha
roz milta hun saikDon se magar
roz jata hun apne ghar tanha
doston ki talash mein 'arshad'
lauT kar aa gai nazar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.