bhiD mein gungon ki pahchan banane ke liye
bhiiḌ meñ gūñgoñ kī pahchān banāne ke liye
hausla chāhiye āvāz uThāne ke liye
diin insāñ kī bhalā.ī ke liye aayā thā
rah gayā ab ye faqat khāne-kamāne ke liye
pyaar ko bhūlnā āsān nahīñ hai sāhab
muddateñ lagtī haiñ ik shaḳhs bhulāne ke liye
roz-do-roz kā qissa na samajhiye is ko
ishq to hotā hai ik umr rulāne ke liye
maut ke baad mirī 'rāz' paḌhe jā.eñge
mere ash.ār mirī yaad dilāne ke liye
bhiD mein gungon ki pahchan banane ke liye
hausla chahiye aawaz uThane ke liye
din insan ki bhalai ke liye aaya tha
rah gaya ab ye faqat khane-kamane ke liye
pyar ko bhulna aasan nahin hai sahab
muddaten lagti hain ek shaKHs bhulane ke liye
roz-do-roz ka qissa na samajhiye is ko
ishq to hota hai ek umr rulane ke liye
maut ke baad meri 'raaz' paDhe jaenge
mere ashaar meri yaad dilane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.