bhiD mein KHud ko ganwane se zara sa pahle
bhiiḌ meñ ḳhud ko gañvāne se zarā sā pahle
mujh ko miltā vo zamāne se zarā sā pahle
hijr kī ham ko kuchh aisī burī aadat hai ki ham
zahr khā leñ tire aane se zarā sā pahle
garche pakḌe na ga.e dosto lekin ham bhī
chor the shor machāne se zarā sā pahle
kuchh nahīñ sochā parindoñ se shajar chhīn liye
dasht meñ shahr basāne se zarra sā pahle
dhuul the tum mire qadmoñ se lipaTne pe musir
ḳhaak the chaak pe jaane se zarra sā pahle
jā-e-ibrat hai ki phūTīñ na tumhārī āñkheñ
mujhe yuuñ aañkh dikhāne se zarā sā pahle
bhiD mein KHud ko ganwane se zara sa pahle
mujh ko milta wo zamane se zara sa pahle
hijr ki hum ko kuchh aisi buri aadat hai ki hum
zahr kha len tere aane se zara sa pahle
garche pakDe na gae dosto lekin hum bhi
chor the shor machane se zara sa pahle
kuchh nahin socha parindon se shajar chhin liye
dasht mein shahr basane se zarra sa pahle
dhul the tum mere qadmon se lipaTne pe musir
KHak the chaak pe jaane se zarra sa pahle
ja-e-ibrat hai ki phuTin na tumhaari aankhen
mujhe yun aankh dikhane se zara sa pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.