Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhigi palken shauq ka aalam waqt ka dhaara kya nahin dekha

Yawar Abbas

bhigi palken shauq ka aalam waqt ka dhaara kya nahin dekha

Yawar Abbas

MORE BYYawar Abbas

    bhīgī palkeñ shauq aalam vaqt dhārā kyā nahīñ dekhā

    hañste aañsū talḳh tabassum mīThā ġhussa kyā nahīñ dekhā

    chhalnī siine raushan chehre ḳhūnīñ āñkheñ rañgīñ dāman

    ThanDī aaheñ vīrāñ nazreñ hashr-e-tamannā kyā nahīñ dekhā

    raah pe pahre nutq pe qadġhan shauq yūrish dil dhaḌkan

    boltī nazreñ bojhal palkeñ ġhamgīñ chehra kyā nahīñ dekhā

    sotī qismat jāgte insāñ ujḌī bastī sham-e-farozāñ

    jhūTe qisse ulTī tohmat baat banñā kyā nahīñ dekhā

    bikhrī zulfeñ uljhī bāteñ aañkh meñ shoḳhī lab pe tabassum

    khaltī kaliyāñ jhūmtī Daalī hashr sarāpā kyā nahīñ dekhā

    bazm-e-charāġhāñ jhūTī ḳhushiyāñ naḳhvat-e-sāqī tishna-dahānī

    gardish-e-sāġhar ālam-e-mastī tundī-e-sabā kyā nahīñ dekhā

    phuul bāheñ larzāñ siina saañs ulajhte bholī bāteñ

    nīchī nazreñ pahlī laġhzish dil taqāzā kyā nahīñ dekhā

    'yāvar' ham ko na sakoge jaise ab haiñ aise kab the

    dil nazākat jurm-e-mohabbat kufr-e-tamannā kyā nahīñ dekhā

    aaj bhī 'yāvar' hañste hañste aañkh meñ aañsū aa jaate haiñ

    dard maujeñ ḳhuun lahreñ aag dariyā kyā nahīñ dekhā

    bhigi palken shauq ka aalam waqt ka dhaara kya nahin dekha

    hanste aansu talKH tabassum miTha ghussa kya nahin dekha

    chhalni sine raushan chehre KHunin aankhen rangin daman

    ThanDi aahen viran nazren hashr-e-tamanna kya nahin dekha

    rah pe pahre nutq pe qadghan shauq ki yurish dil ki dhaDkan

    bolti nazren bojhal palken ghamgin chehra kya nahin dekha

    soti qismat jagte insan ujDi basti sham-e-farozan

    jhuTe qisse ulTi tohmat baat ka banna kya nahin dekha

    bikhri zulfen uljhi baaten aankh mein shoKHi lab pe tabassum

    khalti kaliyan jhumti Dali hashr sarapa kya nahin dekha

    bazm-e-charaghan jhuTi KHushiyan naKHwat-e-saqi tishna-dahani

    gardish-e-saghar aalam-e-masti tundi-e-saba kya nahin dekha

    phul si bahen larzan sina sans ulajhte bholi baaten

    nichi nazren pahli laghzish dil ka taqaza kya nahin dekha

    'yawar' hum ko pa na sakoge jaise ab hain aise kab the

    dil ki nazakat jurm-e-mohabbat kufr-e-tamanna kya nahin dekha

    aaj bhi 'yawar' hanste hanste aankh mein aansu aa jate hain

    dard ki maujen KHun ki lahren aag ka dariya kya nahin dekha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now