bhigti aankhon ke manzar nahin dekhe jate
bhīgtī āñkhoñ ke manzar nahīñ dekhe jaate
ham se ab itne samundar nahīñ dekhe jaate
us se milnā hai to phir sāda-mizājī se milo
aa.ine bhes badal kar nahīñ dekhe jaate
vaz'-dārī to buzurgoñ kī amānat hai magar
ab ye bikte hue zevar nahīñ dekhe jaate
zinda rahnā hai to hālāt se Darnā kaisā
jañg lāzim ho to lashkar nahīñ dekhe jaate
bhigti aankhon ke manzar nahin dekhe jate
hum se ab itne samundar nahin dekhe jate
us se milna hai to phir sada-mizaji se milo
aaine bhes badal kar nahin dekhe jate
waz'-dari to buzurgon ki amanat hai magar
ab ye bikte hue zewar nahin dekhe jate
zinda rahna hai to haalat se Darna kaisa
jang lazim ho to lashkar nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.