bhini KHushbu sulagti sanson mein
bhīnī ḳhushbū sulagtī sāñsoñ meñ
bijliyāñ bhar ga.ī haiñ hāthoñ meñ
sirf terā badan chamaktā hai
kaalī lambī udaas rātoñ meñ
kyā kyā chhīnegā ai amīr-e-shahr
itne manzar haiñ merī āñkhoñ meñ
aañkh khulte hī bastiyāñ tārāj
koī lazzat nahīñ hai ḳhvāboñ meñ
band haiñ aaj saare darvāze
aag raushan hai sā.ebānoñ meñ
vo sazā do ki sab ko ibrat ho
bach gayā hai ye ḳhosha-chīnoñ meñ
bhini KHushbu sulagti sanson mein
bijliyan bhar gai hain hathon mein
sirf tera badan chamakta hai
kali lambi udas raaton mein
kya kya chhinega ai amir-e-shahr
itne manzar hain meri aankhon mein
aankh khulte hi bastiyan taraj
koi lazzat nahin hai KHwabon mein
band hain aaj sare darwaze
aag raushan hai saebanon mein
wo saza do ki sab ko ibrat ho
bach gaya hai ye KHosha-chinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.