bhula dene walon ki yaad aa rahi hai
bhulā dene vāloñ kī yaad aa rahī hai
bhulā.e hue ḳhvāb dikhlā rahī hai
aziyyat meñ rāhat ḳhalish meñ sukūñ hai
tabī.at ajab lazzateñ pā rahī hai
tasavvur meñ vo zulf-e-mushkīñ basī hai
mo.attar mo.attar sabā aa rahī hai
mire vāste ġhuncha-e-jāñ-fazā meñ
tabassum kī shoḳhī bharī jā rahī hai
bahak kar bhaTak kar nigāheñ bachā kar
mire dil kī jānib nazar aa rahī hai
zabāñ ke tavassut se āzād ho kar
hadīs-e-tamanna kahī jā rahī hai
ye merī tamanna kī gul-kāriyāñ haiñ
ki phūloñ se duniyā paTī jā rahī hai
javānī meñ ulfat kī halqa-ba-goshī
ye rasm-e-kuhan to chalī jā rahī hai
mohabbat ko dīvāngī jānte haiñ
mohabbat magar phir bhī kī jā rahī hai
bhula dene walon ki yaad aa rahi hai
bhulae hue KHwab dikhla rahi hai
aziyyat mein rahat KHalish mein sukun hai
tabiat ajab lazzaten pa rahi hai
tasawwur mein wo zulf-e-mushkin basi hai
moattar moattar saba aa rahi hai
mere waste ghuncha-e-jaan-faza mein
tabassum ki shoKHi bhari ja rahi hai
bahak kar bhaTak kar nigahen bacha kar
mere dil ki jaanib nazar aa rahi hai
zaban ke tawassut se aazad ho kar
hadis-e-tamanna kahi ja rahi hai
ye meri tamanna ki gul-kariyan hain
ki phulon se duniya paTi ja rahi hai
jawani mein ulfat ki halqa-ba-goshi
ye rasm-e-kuhan to chali ja rahi hai
mohabbat ko diwangi jaante hain
mohabbat magar phir bhi ki ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.