bhula diya tha jis ko ek sham yaad aa gaya
bhulā diyā thā jis ko ek shaam yaad aa gayā
ġhazāl dekh kar vo ḳhush-ḳhirām yaad aa gayā
ḳhudā kā shukr hai ki saañs TūTne se peshtar
vo shakl yaad aa ga.ī vo naam yaad aa gayā
vo jis kī zulf āñchaloñ kī chhāoñ ko taras ga.ī
shab-e-visāl us ko ehtirām yaad aa gayā
maiñ pichhle das baras se tere dil meñ ghar na kar sakā
tirī muzāhimat se vietnam yaad aa gayā
maiñ aaj eastwōd kī ek film dekh kar haTā
to mujh ko ik purānā intiqām yaad aa gayā
bhula diya tha jis ko ek sham yaad aa gaya
ghazal dekh kar wo KHush-KHiram yaad aa gaya
KHuda ka shukr hai ki sans TuTne se peshtar
wo shakl yaad aa gai wo nam yaad aa gaya
wo jis ki zulf aanchalon ki chhaon ko taras gai
shab-e-visal us ko ehtiram yaad aa gaya
main pichhle das baras se tere dil mein ghar na kar saka
teri muzahimat se wietnam yaad aa gaya
main aaj eastwood ki ek film dekh kar haTa
to mujh ko ek purana intiqam yaad aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.